A call. A miscalculation.
They talk and talk and talk!
Husband and wife, united by
their venom.
Rattle snakes that poison the soul.
Tumne hamari poti ko humse door rakha.
Tum hamare bete ke saath shaadi ke
pehle ghoom rahi thi.
Uske saath so ke use fasaya hai.
Tum cunning aur sly ho.
Mera mooh mat khulvao.
Tumne toh tumhare baap ko ghar se bahar phenka hai.
Tum
apni maa ke godi mein raho.
Agar guts hai toh tumhare parents ko call karne ko
kaho.
Jo hamara beta kamata hai tumhe hi toh deta hai.
Hame kuch milta hai?
Hum tumhare paiso pe nahi reh rahe.
Tum luxury enjoy kar rahi ho hamare bete
ke paiso pe.
Meri bimari mein aa ke tamasha kiya tumne.
Apne bhai se phone pe
baat ki us din? Kyon?
Tumhara bhai uski biwi ke saath reh raha hai na?
Tum
nahi reh sakti?
Tum hamara beta tumhare relatives ko show off karti ho,
Hamari
bahu kabhi yaha aati hai?
Hamne hamare bete ko ek saal se nahi dekha.
Hum
taras rahe hai.
Main mar gaya toh bhi dekhe mat aana.
Hame tum aur tumhari
beti, donho nahi chahiye.
Tum hame kale Madrasi kehti ho.
Unpadh kehti ho.
Hamare bare mein likhti ho.
Tum pregnant thi toh hum kya kare?
Pehla baccha
nahi dekhne milta, doosra abort ho gaya toh kya?
Biwi ki duty kabhi ki hai?
Tum jhoot bol rahi ho.
Hamara beta tumhare parents pe kabhi chilla nahi sakta.
Tum aur tumhare parents mein tameez nahi hai.
Unhone tumhe tameez nahi
sihkhayi hai.
Pyaar ka natak karke hamare bete ko fasaya hai.
Tum kya ho batau main tumhe?
TUM PAISE KI GIRLFRIEND HO!
Love Story 2006 -____
Character assassination = 100%
Justice/Jail Time = 0%
Save
the girl child.
Let her never be born!
***
DISCLAIMER
This is a work of fiction. Names, characters, businesses, events and incidents are the products of the author’s imagination. Any resemblance to actual persons, living or dead, or actual events is purely coincidental.